Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Monday

Surah yaseen se jinnat ko jalana


As salamu allaiqum

Surah yaseen se be jinnat ko jalaya jata ha . her Aamil ka apna apna tareeqa kar hote ha . yeah tareeqa chota mota jinnat k hamla main kareen . ahsa jinnat per nahi kareen jis ka jalana main kahe yeah na ho k uski pore fojh a kar apse lareen . jesa japata lag gaya ho . rah gozar ka jinnat ho jo tang kar raha ho . jesa kohi jinnat larki per ahshiq ho gaya ho . ya kisi per saya ho gaya ho . or wegara wegara wegara . yeah amal jadugar ka beja howa jinnat per nahi kareen q k agar apna us ka jinnat ko jaladeya phir wo pore fojh bejh de ga apse larna k liya . to bajahe problem solve hona ka ulti bar jahe gee . Agar surah yaseen ka victim amel ha to achi bat ha . agar nahi ha to roz ana sobah or sham ko daily 1, 1 bar surah yaseen pareen or jab be jinnat hamla kareen . to pehla apna hisar kareen 4 qul par ka ake dahera banahe apna ird gird . taka jinnat nikal ka bagh na jahe phir ushe dahera ka under surah yaseen ochi ochi awaz main parna shoro karden . bus phir kuch he dair main jinnat apse ham kalam hoga . ya to wo apko dhmaki de ga ya mafi manga ga ahse sorate main uski kisi baat ka jaweb na den . or apni parahe karte rahe jab tak uski chik na or chillana ki awaz na ah jahe . phir jab wo jalna shoro ho jahe to be parahe karta rahe jabe uski awaz complete band ho jahe to phir 1 se 2 bar mazeed surah yaseen par ka apni parahe khatam karden . note jinnat ki awaz band hona ka matlab ha ka jinnat completely jal gaya ha . laken kohi kami bashi na rehjahe is liya ,1 se 2 bar or prahe kareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






23 comments:

Anonymous said...

muje ap ki madad chahiay plz help me
03007605976
03157605976
03237605976

irfan said...

Hello
ASLAM O ALEKUM

Jnab ap se arz hai Meri biwi hai us pe kala jaddo kiya giya hai us ko barbad karny k liye pagal karny k liye
3 jinnat hein jo hazar hoty hein aur gala dabaaty hein
2 to 5 din se nhi aa rahy lekin aik ne bohat zaleel kar rakha hai
mehrbani kar k mujhy aisa hal btayen jis se hmesha k liye in se jaan choot jaye
ap ki mehrbani ho gi

Anonymous said...

Sir main apko apne taklif btana chata hu maine doctor or miya g tk k ilaz kraye lakin kuch frak tk nhi lga. Ap he mare liye doctor ho . Sir muje kuch pta nhi chalta kon kya bol rha hai mare jism me aag se lgte jate hai mera dimak bilkul kam nhi krta main paglo ki trh rhta hu muj par kya kisi ne tona kiya hai miya g bta rhe the ki kisi ne kuch pilaya hai main sir apne maa,baap,wife kisi se bat nhi kr skta baat krte hue dar lgta hai ki kya bat kru dil me dhadkne, gbrahat pada ho jate hai . Or main aapne aap me bate krta rhta hu. Jism me jaan takat kuch nhi rhe khul k bate nhi kr skta kbhi mota to kbe patla ho jata hu. Bs sir mera mind bilkul kam nhi krta .mera naam rishu chauhan hai... Main bhut taklif me hu 7,8 mahene se plz sir kuch upay btaye main to apne zindgi ki moot mangta rhta hu bhgwan se ..... Muje zindgi dedo sir plz kuch btao muje kya hua hai...

Anonymous said...

Bhai,
hum bohat pareshan gain, jadoo karnay wala hamari family yani ghar main hi rehta hai joint family main, Jo musalsl meri ammo biwi air bachay per ammal khud Kara hai, meri job bhi 4 saal say khatam ho chuki hai. Sara din shetani cheezi ghalt parrhai ki waja say ghar ati jati gain, plz kuch batain.

Anonymous said...

W/salam...main apne susral k sath 10 sal se reh rahe ho ... Per wo Mere sath bohat bura salok kerte hain koi mehman bhi Aya ho tu bhi bezat kerte hai. Unke samne... Mere husband mere liye Alag rehne ka intezam nai kerte hain ... Plz kuch batain k mujhe apne inlaws k sath na rehna pare ... Mere husband man jayein ... Shukeriya

Shafat said...

As Salaam Allai Kum Amel Saab,

Bhai mera naam Shafat hai main abhi Saudi Arab mein kaam kar raha hu, main aur meri wife bahut pareshan hai jab se saadi hui hai hamre duno khandan mein an ban rahi hai aur mari and meri wife me jakde, app ka net pe kaula pada app se madat chahiye
Please app ke madat chahiya ye malum karne ke ham par koi jadu hai ke nahi aur kaun karware taki hum un se door ho jaje our bach sake.

App ka khadim bhai - Shafat

Anonymous said...

aoa

sir main ne app ki website dekhi wahan say app ka pata liya main bohot paryshan hon.mery shadi ho choki hay 3bachay hain..main jis kam main hath dalta hon wohi mujh say dor ho jata hay.. kuch samjh nahi ata shadi ke pahlay 3sal to bohot acha raha meri job thi phir job chor kar main ne apni shop banai shop ke doran hi meri chori ho gai or main ne shop sale kar di magar phir uske bad aaj tak meri kahin bhi job nahi hoi sar ka dard rahta hay bohot neend bohot kam ati hay senay mein jalan rahti hay har wakt or kahin bhi job nahi hoti..

imran said...

Assalamu alaikum amel sahab main ek student hun main pichle 3 saal se
bahut pareshan hun.mereko khwaab gande gande admi aur aurtein ati
hain.aur mera dil itni teze se dhadakta hai nend nhi ati waswase ate
hain .Allah k bare me Rasool pak saw k bare me Allah walaon k bare me
gali k waswase ate hain sar me tohbahut dard hai padhai me mann nhe
lagta.marne k waswase ate hain plss iska ilag bataen jadoo karne wali
mere relation me hai.plss reply kren.

hashim said...

sain mera dukan nahi ban raha he main apna karobaar karna
chata ho mere pas paise be nahi he main apna karobaar kholsako
mujhe wazaif do main karo or main apna karobaar kholsako

isma said...

A.O.A plz allah ka naam pa mari madad kara ham log gar ka 7 fard ha aj sa 15 saal pela apna gar shift hoi tha jab sa haam is gar m ai ha hama aik din sukoon nai mila agar aik fard ko daam dalwata hai wo dosra sath hi bemar ho jata ha plz ap hmari madad kar sakta to plz is ka solution btaya ham bhot muskil m ha hmara abu ami ka siwa hmara is duniya m koi nai ha sab haam sa hasad karta ha plz ap hmari madad kara ap ki bhot merbani ho gi hama kch din tavezo sa aram bi ata ha phir 1ik month bad phir sa problam ho jati ha plz hmari madad kara

sadia said...

asalam o alykum

mera nam sadia hy .mjy koe aysi dua batain k mjy koe ustad mil jain jo mrere rohani tarbyeet karain mere rohani madad a rahi hy .ap agr mrere madad karain gy to allaha ap ko is ka ajar ata karay ga.mai ap k reply ka wait karoon ge.
regards
sadia

Aleemuddin said...

Bhai jaan mera naam Aleemuddin hai muje 2010 se ab tak mai pareshan ho muj pe kala jadho kise ne kar waya

saima said...

Assalam o alaikum janab,

mera nam saima hai, ap k bare mai apni dost se suna to socha ap se apne masle k bare mai mashwara karlun.....

Mohataram, mai pichle 5-6 sal se ek office mai kam karti thi waha per mera ek collegue b kam karta tha. hamari dosti rahi phir understanding itni achi hwi k ghr walo ne hamara rishta jor dena munasib smja....... ghr walo ki razamandi aur khud ham dono ki raza mandi se may 2013 mai hwi. sab kuch bht acha tha aur bht khushi se bht dhoomdhaam se bht achi rasam hwi............. sab kuch set ja raha tha December mai hamari shadi ki ttareekh b tey ki gai 13 feb 2014..... mai kashmir apne dadi logo k han se wapis ai dunia he badal gai thi..........
mere mangeter ne achanak shadi kerne se inkar kerdia......... un k ghr wale b badal gye...........

na larai na jhagra na tu tu mai mai.............. achanak he sb khtm hogya........ bate itni fuzul hwi k aj rishta khtm hone per ksi ko rishta khtm hone ki waja smj nh ati........ 5 saal ka sath tha hamara........ mai une apna sab kuch man chuki thi mai itni bemar hogai jism se boo ane lagi namaz wagera sab tark kerdai.....

bht su ne bht bataya k kisi ki bandish hai........... mai itna pareshan hun k kia bataun.......... mere sabqa mangeter mjse bat b karte hain ab normal bhi hain per shadi nh karna chahte............. ghr se bahar agr mjse bat karte hain to commitment kerte hain apne ghr jate he mjse rude hojate hain.......... wo kahte hain mje tumhari shakal se nafrat hai......... etc

bara he karam mje kuch to bataen k kia karun? apna koi contact number he de den mai bht pareshan hun........

shabbir said...

Asslamwalaiqum
mera name shabbir hai..2011 sal se main bahut jyada pareshan hu..tamam tarah ki bimariya lag gyi ek thik nhi hota dusra akar khada ho jata hai, aur jo v bimari ati hai..wo la elaj ho jati paisa khub kharch hota hai.. Jaise- hydrocele ki nass me sujan hui thi wo aaj tak nhi thik hui, gardan me moch ayi av tak nhi thik hua, av av ghutne ki problem lekar baitha hu,ki tne dr. Se dikhaya but! Koi sifa nhi hai, kv khansi,kv pasli me dard, kv kuch kv kuch, itne salo se sirf dawa kha rha hu,jeena behal ho gya hai, naukri chut gyi, mangni honi thi nhi hui,dusri jagah rista nhi lag raha, din rat allah allah karta hu..namaj padhne ko man nhi krta,koi v dini takrir,koi v islami naat,qawwali par chidhan mehsus hota hai, lekin! Allah ka bahut dar lagta hai,
Jaha tak main smjh pa rha hu..pune (india) me main electrical job kr rha tha, waha ek gaon me ek marathi hindu, jiske khet me 5 peer ki dargah thi, jiski khidmat gari wohi marathi krta tha, uski kheti me maine elec.khambhe ka kam karwaya, jiske ewaj me maine side se 2000 lene ki bat hui pehle din usne 1000dye baki dusre din dene ko kaha, main jab dusre din gya to usne bura sa muh bnate hue, chik kar ke 500 dye, bas! Uske 4-5 din ke bad se main bimariyo se mubtila ho gya hu,achha ek bat aur maine dargah ke thodi door me khade ho kar peshab kya tha.. Us se kuch to nhi hua, maine kai alimo se dikhwaya we btate hai kisi ne kuch kya hai wo bhuri ankho wala hai.. Wo marathi v bhuri ankho wala tha'... Av main kya karu! Allah ke waste meri madad kijiye..zindagi bhar main apka ehsan mand rahuga shabbir

Anonymous said...

salam mera nam rashid hai . mai shadi shuda hon mera masla ye hai k meri bewi kuch arsay say apnay ghar walon ki baton main anae lagi hai aur ziada tar mekaay main rehti hai apni ma aur behno ki baat par chalti hai jis ki waja say mera ghar kharab horaha hai aur .kuch badtameezi bhi karne lagi hain aur hum dono main payar bhi nahi raha us ki badtameezi barh gai hai baki aap samjh gae hongae k kia karna hai .

main cahta hon k ye meri tabhe hojae basss jo main kahon wo karay aur mera hukam manaay aur payar

aap btain kia kar saktay hain jald say jald

Ali Shah said...

A.o.a
Sir mera naam Ali Shah ha men ap sy maloom krwana chahta hn ky muj pr koi Bandsh , Tona , ya kuch is trha ka asr tu nhi ha .. kyon ky mujy hamesha esa laga ha ky jis tarha mery Dimagh pr koi bharii cheez pari ha ..
plz help me sir ,Ap ki bari Nawazish ho gi or ap ko hamesha doa'n men yad rakhon ga ..
shukria

Anonymous said...

Salam.....sir mera maslah bohat sangien had tak kharab hey..karobar bilkul khatam hogia
hey..udahr per guzara hey..

please aap bata saktey hey koi bandish hey kia..aur uska hal

Aleemuddin said...

As salamualaikum mera naam Aleemuddin hai sab je muj pe kisene kala jadho karwaya 3sal se my Saudi raheta ho jab chale gaya sab barbat hogaya kuch ilaj ya kuch plz help me

Mohiddin said...

Assalamalikum Amel Saheb.

I am Mohiddin. merae upar koi kala jadu karaye. iska ilaaj ka tareeq bataaiye. aur dua ka khaas dharkhaas.

Mohiddin

Ansari said...

Asslam o Alikum Janab,

Baad salam main apni Bahen(Sister) ki parishani ka jikar karna chahta hun, meri choti bahen ka name Parveen Kausar(21 years) hai use kai salon se kamr ke niche poore hissen me dard rahta hai, kabhi kabhi pora badan dard karta hai bade mahir dactoron se bhi dikhya lekin koi responce nahi mila, wo raat bhar dard se so nahi pati hai, 5 time namaz tilawat bhi karti hai aap se darkhwst hai kuch rasta bataye. dua kariye kag.

Dua Kariye ga Hamre Muslim Bhai ke Liye
Shukriya
Ansari

Anonymous said...

Please apna number bata de mehrbani ho ge

Anonymous said...

please surah jinn aur surah yaseen ke naksh mere Whatsapp 8083310711 pe bhejen meharbani hogi @shahzad khan

Anonymous said...

GOD BLESS U

Popular Posts